Kanz e Aza

Shabbir Hurmala se

A noha for Ali Asghar (a.s), written by Anwar Zahir. Lyrics in Roman Urdu.

shabbir hurmala se ye bole pukaar ke

kya mil gaya bata mere bache ko maar ke


asghar ko ran mein lag gayi kuffaar ki nazar

haalan ke maa ne bheja tha sadqa utaar ke

shabbir hurmala se ye...


shabbir ne hila diya fauje sitam ka dil

asghar ke khoon se sabr ka chehra nikhaar ke

shabbir hurmala se ye...


jaise sajaaye jaate hai dulha isi tarha

bheja gaya tha bachon ko ran mein sawaar ke

shabbir hurmala se ye...


zainab ki aarzoo thi ke akbar bacha rahe

qurban bete kar diye akbar pe waar ke

shabbir hurmala se ye...


akbar ke hosle pe malayak bhi dang hai

barchi jigar pe khaayi hai seena ubhaar ke

shabbir hurmala se ye...


ye kehke khat ko laasha e akbar pe rakh diya

sughra watan mein ginti hai din itezaar ke

shabbir hurmala se ye...


bewa sehar ko hogayi shab mein bani dulhan

kubra ne chaar din bhi na dekhe bahaar ke

shabbir hurmala se ye...


shauke wisaal rab mein thay shabbir be-khabar

bosay galay ne le liye khanjar ki dhaar ke

shabbir hurmala se ye...


ye poochta hai aap se anwar basad adab

rauze pe kab bulaoge maula pukaar ke

shabbir hurmala se ye...