Kanz e Aza

Sunke Faq Kubra ka

A noha written by Anwar Zahir. Lyrics in Roman Urdu.

sunke faq kubra ka chehra hogaya

tukde tukde ran may dulha hogaya


kehti thi zainab ke ye kya hogaya

bhai bin ghar soon soona hogaya

sunke faq kubra ka...


poochte thay sar kata kar ye hussain

mere maalik mera sajda hogaya

sunke faq kubra ka...


pani akbar ko na asghar ko mila

pani darya ka kaleja hogaya

sunke faq kubra ka...


jis jagah qaime se uth'ta hai dhuan

khaana e kaaba may larza hogaya

sunke faq kubra ka...


kya sar e zainab se chadar chin gayi

dono aalam may andhera hogaya

sunke faq kubra ka...


ghar chalo ghar meri amma ghar chalo

kehna kya bachi ka poora hogaya

sunke faq kubra ka...


bekhayali may ye laila ne kaha

do azan akbar savera hogaya

sunke faq kubra ka...


laash hai ya chaudvin ka chand hai

jaun kya tha aur ab kya hogaya

sunke faq kubra ka...


wo bhi kya nauha na roye sayyeda

gir gaye aansu to nauha hogaya

sunke faq kubra ka...


bas karo anwar ke aansu hai rawan

dekho tar rumaal e zehra hogaya

sunke faq kubra ka...