Kanz e Aza

Sunlo Apni Beti ke

A noha for Shehzadi Sakina (s.a), written by Meer Nazeer Baqari. Lyrics in Roman Urdu.

sunlo apni beti ke aakhri bayan baba

bandh hone wali hai ab meri zuban baba


dekhlo jo baakhi thay wo bhi imtehan baba

gir pada yateemi ka sar pe aasman baba

sunlo apni beti ke...


jab mera jawan bhaiya aediyan ragadta tha

chub rahi thi mere bhi dil mein barchiyan baba

sunlo apni beti ke...


chin chuki har ek chadar jal chuka har ek qaima

lut gayi sabhi daulat reh gaye nishan baba

sunlo apni beti ke...


kaan hogaye zakhmi gaal hogaye neele

zaalimo ne yun cheeni meri baliyan baba

sunlo apni beti ke...


hum tumhare seene par so chuke jo sona thay

neendh bhi wahin pahunchi aap hai jahan baba

sunlo apni beti ke...


qaid ke andhere mein ghut raha hai dam mera

ab nahi sahi jaati aur sakhtiyan baba

sunlo apni beti ke...


kab jaala mera daaman ye khabar nahi mujh ko

saamne tha aankhon ke door tak dhuan baba

sunlo apni beti ke...


yeh nazeer apna hai isko bakhshwa dena

isne ro ke likhi hai meri dastaan baba

sunlo apni beti ke...