tadap ke ye poocha sakina ne maa se
rihaai milegi hamein kab yahan se
rabab e hazeen ne jo dekha ye manzar
to phir reh gaya hai kaleja tadap kar
chala teer jo hurmula ki kamaan se
tadap ke ye poocha...
aseeri ki chadar yateemi ke saaye
ye dushman ko bhi din khuda na dikhaye
rahe phool kaise juda gulistan se
tadap ke ye poocha...
khamoshi se in ke sitam hum uthaye
magar koi shikwa na honton pa laaye
pade taziyane jo bole zaban se
tadap ke ye poocha...
sukoon dil ko aakhir ho kaise meinassar
mara teer khaake mera bhai asghar
wo kilkaariyan ab sunoo mai kahan se
tadap ke ye poocha...
madine ki yaadein sataati hai mujhko
bahot khoon ke aansu rulaati hai mujhko
rahe door kab tak koi aashiyan se
tadap ke ye poocha...
tarayi se aati hui nam hawaein
talab tashnagi ki badha kar sataye
koi inse keh de na guzre yahan se
tadap ke ye poocha...
chala halq e sheh par jo maqtal mein khanjar
nashebon mein royi bahot ek maadar
zameen royi barsa lahoo aasman se
tadap ke ye poocha...
ke jo baaghe yasrab mein phoole phale hai
wohi phool jalti zameen par pade hai
bacha le unhe koi zaalim khiza se
tadap ke ye poocha...
ye beemar bhai pa jor e jafa hai
rasan baazupn mein gala bhi bandha hai
lahoo ab bhi jaari hai tauq e garan se
tadap ke ye poocha...
darindon ki basti ye karbobala hai
inhe khoon insan ka moo ko laga hai
nazar jis par uthi gaya apni jaan se
tadap ke ye poocha...
tassawur mein bhi bad-khayali na aaye
ghulame ali zindagi yun bitaye
ba-emaan ban kar uthe is jahan se
tadap ke ye poocha...
gham e sheh salamat rahe chashme nam se
magar gham jahan ka rahe door hum se
raza ki dua hai imam e zaaman se
tadap ke ye poocha...