Kanz e Aza

Ye Boli Zainabe

A noha for Ali Akbar (a.s), written by Raza Ali Khan Lakhnavi. Lyrics in Roman Urdu.

ye boli zainab e muztar ali akbar ali akbar

phupi hai terI nauhagar ali akbar ali akbar


kisi takleef ko beta phupi se kyun chupate ho

yeh hai kyun haath seene par ali akbar ali akbar

ye boli zainabe muztar...


tumhari laash par dil ko haram nauha kuna yun hai

ke jaise ho koi mehshar ali akbar ali akbar

ye boli zainabe muztar...


tamanna thi mere dil mein teri shaadi rachaungi

basaungi mai tera ghar ali akbar ali akbar

ye boli zainabe muztar...


tumhari maut se ab to yakeen hone laga mujhko

chinegi ab meri chadar ali akbar ali akbar

ye boli zainabe muztar...


madine mein tera ehwaal kya usko bataungi

jo poochegi teri khwahar ali akbar ali akbar

ye boli zainabe muztar...


mere maajaye ki tashna labi ka haal keh dena

mile jab saaqi e kausar ali akbar ali akbar

ye boli zainabe muztar...


raza zainab ke naale aaj bhi aate hai sehra se

ali akbar ali akbar ali akbar ali akbar

ye boli zainabe muztar...