Kanz e Aza

Ye Roke Kehti Thi

A noha written by Raza Ali Khan Lakhnavi. Lyrics in Roman Urdu.

ye ro ke kehti thi binte hyder

najaf se baba madad to aao


hai ran mein tanha mera baradar

najaf se baba madad to aao


ajeeb chehre pa bekali hai

jigar mein tooti hui ani hai

tadap raha hai zameen par akbar

najaf se baba...


tamaam qaime jale huwe hai

ye nanhe bache dare huwe hai

bahot hi purhaul hai ye manzar

najaf se baba...


luta hai asbaab ran mein saara

hai charkh ab saibaan hamara

haram hai nauha kuna khule sar

najaf se baba...


bhala rahe dil par kaise qaabu

ke apna ghazi kata ke baazu

wo so gaya nehre alqama par

najaf se baba...


lehad banaate hai bezuban ki

ye sheh ki manzil hai imtehan ki

malay hai chehre par khoon e asghar

najaf se baba...


jo ek shab ka bana tha dulha

pada hai tukdon mein us ka laasha

lage hai kubra ke dil pa nashtar

najaf se baba...


suno to fariyad ab khudara

ke jeena mushkil hua hamara

pukarti hoo tumhe barabar

najaf se baba...


sukoon maadar ko kaise aaye

zameen pa asghar pada hai haye

labon pa sookhi zaban phira kar

najaf se baba...


hai zakhm dil mein safar hai jaari

ye bediyan aur ye tauq bhaari

wo mera abid chale to kyun kar

najaf se baba...


sakina asghar ko dhoondti hai

kahan hai bhaiya ye poochti hai

pata mai usko bataun kyun kar

najaf se baba...


atash ka hamla hai ab bhi jaari

yateem bachon par ghash hai taari

na koi hamdam na koi yawar

najaf se baba...


nahi hai apna koi sahara

khayaal kuch to karo hamara

dikhao mushkil kushayi aa kar

najaf se baba...


raza bahatar ke zakm kha kar

hai sar ba-sajda mera baradar

liye hai haaton mein shimr khanjar

najaf se baba...