wo jisko saare hussaini salaam kehte hai
usay hussain alaihis salaam kehte hai
hussain hussain maula hussain
ya hussain maula
hussain hussain maula hussain
ya hussain maula
maahe aza ka chaand nikla
aagayi ghar mein fatema zahra
libaas kaale pehan ke saare
hussain waale farshe aza pe aaye
utha ke parcham karenge matam
dilon mein har dam zinda rahega ye gham
dekhna ek din ban kar hussaini bolega ye zamana
ye saare nazare ishq ke hai
hum ho na ho hamesha hota rahega ya hussain
chauda sadiyan beet chuki hai
gham ye koi bhi na bhoola
dekho hamare ghar mein saja hai
babul hawaij ka jhoola
jhoole se behne lipti hui hai
le kar haathon mein kurta
ye saare nazare ishq ke hai
hum ho na ho hamesha hota rahega ya hussain
dekho julooson mein jo hussaini
baandhe huwe hai sar pe kafan
aashiq e maula hai ye saare
karbobala hai in ka watan
dil mein udaasi aankhon mein aansu
honton pe maula maula
ye saare nazare ishq ke hai
hum ho na ho hamesha hota rahega ya hussain
rahe salamat ishq e hussaini
rahe salamat saare hussaini
hussain ya hussain maula
hussain ya hussain maula
qasim ki mehndi akbar ka sehra
taboot o zuljanah
wo sheh nasheen mein patke alam ke
tasbeeh e fatema
laa kar koi jo baante to
yaad aati hai bibiyan
aur choti choti shehzadiyon
mein bat'ti hai baaliyan
saath alam ke mashk e sakina
dekhi to dil ye bola
ye saare nazare ishq ke hai
hum ho na ho hamesha hota rahega ya hussain
aat moharam hum karte hai
haazri maula ghazi ki
bachon ko apne saqqa bana kar
sab ko pilaate hai pani
ghazi ka sadqa milta hai us ko
aata hai jo bhi pyaasa
ye saare nazare ishq ke hai
hum ho na ho hamesha hota rahega ya hussain
paon dabata hai koi khadim
koi hataata hai pathar
karbobala ki samt najaf se
jaate hai jab zaair chal kar
ek sada hai sab ke labon par
labbaika ya hussaina
ye saare nazare ishq ke hai
hum ho na ho hamesha hota rahega ya hussain
ashoor ki shab saare hussaini
ghar ghar charaghan karte hai
aur azakhano mein jaa kar
rote hai nauha padhte hai
karte hai matam sun kar azaane
akbar subhe ashoora
ye saare nazare ishq ke hai
hum ho na ho hamesha hota rahega ya hussain
aag pe chalna khoon bahana
baap se hum ne seekha hai
rokega hum ko kya ye zamana
matam hamara virsa hai
jab tak badan mein khoon hai baaqi
maula ko denge pursa
ye saare nazare ishq ke hai
hum ho na ho hamesha hota rahega ya hussain
zeeshan aur irfan e aza
hum khalq huwe is gham ke liye
maa ne hamari paala hai hum ko
majlis aur matam ke liye
ungli pakad kar majlis mein laa kar
maa ne bataya beta
ye saare nazare ishq ke hai
hum ho na ho hamesha hota rahega ya hussain