Kanz e Aza

Aao Ro Lein

A noha for Ibtedaye Ayyam e Aza (2025). Lyrics in Roman Urdu.

aao ro lein shahe karbala ko

zindagi ka bharosa nahi hai

jo bhi girta hai is gham mein aansu

koi bekaar jaata nahi hai


chand maahe aza ka jo nikla

dekh kar ro padi binte zahra

baad is chand ke zindagi mein

koi lamha khushi ka nahi hai

aao ro lein...


chand badli mein chup jaa tu jaake

na khabar de moharram ki aake

jab se dekha hai tujhko falak par

mera sajjad sota nahi hai

aao ro lein...


jab jale honge qaime haram ke

jab chini hongi sar se ridayein

guzri hogi kya saydaniyon par

wo samaa dil se jaata nahi hai

aao ro lein...


teer itne lage hai badan mein

bhai mera tadapta hai ran mein

dekh kar mere bhaiya ki haalat

mera dam kyun nikalta nahi hai

aao ro lein...


karbala mein jo jayegi zainab

kya batayegi bhai ko zainab

chutt ke zindan se jo aa rahe hai

un mein pyari sakina nahi hai

aao ro lein...


behre ta'zeem utho ay akbar

parda daari karo mere dilbar

aa rahi hai sawari phupi ki

jis ka koi sahara nahi hai

aao ro lein...


mar gaye mere saare dulaare

kaun mehmil se mujhko utaare

amma fizza do aake sahara

paas abbas mera nahi hai

aao ro lein...


jab madine mein jayegi zainab

kya batayegi sughra ko zainab

wo nishan e rasan baazuon par

neel ab tak bhi choota nahi hai

aao ro lein...