Kanz e Aza

Ay Azadaron Utho

A noha for Ibtedaye Ayyam e Aza, written by Dayam Najafi. Lyrics in Roman Urdu.

ay azadaron utho sheh ke ansaar bano

pairawi hurr ki karo waqt ko jaane na do

aagaya maahe buka maahe alam maahe aza

jiske ek din mein luta zehra ka ghar wavaila


ye maahe moharram ye aza e shahe waala

is maah mein loota gaya shabbir ka kunba

is maah mein sadaat ne gham khaye hai kya kya

is maah mein kaunain mein barpa hua larza

ay azadaron utho...


hai aamad e shabbir azakhana sajao

taqdeem karo taaziya haathon se banao

abbas ka parcham bhi kareeb aake lagao

humraah e alam mashke sakina ko bi lao

ay azadaron utho...


naam e ali asghar pe sabeelon ko lagao

raahon mein azadaron ke palkon ko bichao

lillaah karo zikr na dunya ko dikhao

jo kuch hai azadri e sarwar mein lutao

ay azadaron utho...


aayaat shahadat ki padho sab ko sunao

jazba hai wafadari ka dunya ko batao

hurr ban ke dar e hazrate shabbir pe aao

khud haathon se bigdi hui taqdeer banao

ay azadaron utho...


is maah mein farwa se chuta qasim e muztar

pamaal hua laasha e ibne bine hyder

phoolon ki tarha jism ke tukde thay zameen par

sheh laaye jisay ek ghatri mein rakh kar

ay azadaron utho...


is maah mein laila se chuta godh ka paala

maidan se phir lauta nahi gaysuon waala

naize ki ani aur jawan laal ka seena

kis tarha ye manzar shahe abraar ne dekha

ay azadaron utho...


is maah ne sughra ko madine mein rulaaya

har saans naye karb ka ehsaas dilaaya

sheh qatl huwe dasht mein ye aake bataya

zauf e jasad e sughra ko kuch aur badhaya

ay azadaron utho...


is maah mein sadaat ko aafaat ne ghayra

aalam o masayab ke parindo ka basera

dekha nahi bachon ne sukoon baksh savera

chaaya raha taqdeer ki dunya mein andhera

ay azadaron utho...


gham khaate rahe sabr ka daaman nahi choda

saabir na nazar aayega shabbir ke jaisa

dekha na falak ne koi is shaan ka banda

laashon pe shaheedon ke kiya shukr ka sajda

ay azadaron utho...


is maah ne shabbir ko kunbe se chudaya

aankhon se lahoo hazrate zehra ko rulaya

is maah ne abid ko bahot zakhm diye hai

har gaam mazaalim dil emuztar pe sahe hai

ay azadaron utho...


pani ke ewaz ashk e ghame shaah piye hai

maula hi batayenge wo kis tarha jiye hai

abid ke liye kaisi qayamat ki ghadi thi

be-gor o kafan laasha e shabbir padi thi

ay azadaron utho...


is maah mein ay dayam o yazdan ye rah dhyaan

is maah ka har haal mein baakhi rahe irfan

padte raho qurbani e shabbir ka quran

batalaate raho dunya ko shabbir ka ehsaan

ay azadaron utho...