moharram aa raha hai
chale aao mere bachon moharram aa raha hai
ye maa kehti thi ab rone ka mausam aa raha hai
tarasti hai ye aankhein dekhne ko ek zamane se
tumhe bhi dekh loongi mai moharram ke bahane se
zaeefi se kamar mein aur bhi kham aa raha hai
chale aao mere bachon...
hui muddat tumhe pardes mein jaa kar nahi aaye
manaali eid bhi tanha magar tum ghar nahi aaye
magar ab fatema ke laal ka gham aa raha hai
chale aao mere bachon...
suna hai maamta pardesiyon ko bheech laati hai
kahin bhi ho azadaron ko mitti kheench laati hai
hamara monis o ghamkhwar o humdam aa raha hai
chale aao mere bachon...
raho tum saal bhar chaahe jahan dunya ke kone mein
magar wapas chale aana moharram ke mahine mein
kaleje ke sabhi zakhmon ka marham aa raha hai
chale aao mere bachon...
tumhe hai yaad bachpan mein alam chota sa laate thay
bana kar taaziya shabbir ka sar par uthaate thay
wohi phir majlis o matam ka mausam aa raha hai
chale aao mere bachon...
khushi hai fatema ke laal ka hum gham manayenge
khud apne haat se ghar ka azakhana sajayenge
yehi bas soch ke ab dam mein kuch dam aa raha hai
chale aao mere bachon...
alam abbas e ghazi ka julsoon mein uthana hai
gali koochon khayaban mein sabeelein bhi lagana hai
yehi bas soch ke aankhon mein zam zam aa raha hai
chale aao mere bachon...
judaai ay mere bachon mere dil ko jalaati hai
ye madar baahein phailaye huwe tumko bulaati hai
nighahon mein tumhara chehra har dam aa raha hai
chale aao mere bachon...
chali jaati hai ainee maa to rab se izn paati hai
azakhane mein aamir haye maa ki rooh aati hai
ye kehti hai tadap kar shaah ka gham aa raha hai
chale aao mere bachon...