koi majboor nahi koi majboor nahi
zikre sheh ke liye hargis koi majboor nahi
jism mazoor hai par fikr se mazoor nahi
jab bhi seene se meri maa ne lagaya hum ko
zikre shabbir hi lori mein sunaya hum ko
ashke gham shaah ka ghutti mein pilaya hum ko
is liye aur kisi gham se bhi ranjoor nahi
zikre sheh ke liye...
is ka kuch gham nahi dekhi nahi dunya hum ne
chand o suraj ka nahi dekha ujaala hum ne
haan magar dekhi hai qabre shahe waala hum ne
kaun kehta hai ki aankhein meri pur noor nahi
zikre sheh ke liye...
pa piyada to sabhi karbobala jaate hai
azm o himmat se meri koh bhi tharrate hai
sar ke bal chalte huwe hum bakhuda jaate hai
hausle kehte hai manzil meri kuch door nahi
zikre sheh ke liye...
is qadar mujhpe meherban hai aaqa mera
bin kahe baat samajh jaata hai maula mera
dil kisi ka bhi dukhata nahi lehja mera
ye zaban jhoot kahe rab ko ye manzoor nahi
zikre sheh ke liye...
is tarha shaan badhata hai wo rabbe akbar
ek na-beena hi tha shaah ka pehla zaayir
baareha maine bhi dekha hai hareem e sarwar
roshni deti hai aankhein meri ye koor nahi
zikre sheh ke liye...
jis ghadi majlise shabbir mein aata hoon mai
haath matam ke liye apna uthata hoon mai
khud ko ha qaaba o qosain pa paata hoon mai
is bulandi pa magar hum kabhi maghroor nahi
zikre sheh ke liye...
is liye haq se nahi koi shikayat hum ko
usne bakshi hai ghame shaah ki daulat hum ko
jaan se pyari hai shabbir ki ulfat hum ko
kufre nemat kare is qaum ka dastoor nahi
zikre sheh ke liye...
shukriya ainee jo andaze bayan bakhsha hai
nutqe ehsaas ko lafzon ka jahan bakhsha hai
hum thay khamosh hamay zore zaban bakhsha hai
kaunsa dil hai jo aamir tera mashkoor nahi
zikre sheh ke liye...