jis ne sajda kiya chaand zehra ka tha khanjar talay
jis ka koi na raha chaand zehra ka tha khanjar talay
veeran karbobala aabaad jis ne kiya
ummat ne kyun kar bhala kaata hai uska gala
nok e sina jisne quran pada chaand zehra ka tha
khanjar talay
jis ne sajda kiya...
sakina ke dur le gaye ghazi ke baazu kate
shimr tamache maare kis jurm ki hai saza
hai ye saza jis ka koi na raha chaand zehra ka tha
khanjar talay
jis ne sajda kiya...
asghar ne ki jaan fida qasim ke tukde huwe
aun o mohamed abbas akbar bhi maare gaye
maare gaye khoon dukhtar ka tha chaand zehra ka tha
khanjar talay
jis ne sajda kiya...
zainab ki cheeni rida abid ke kode lagay
bibiyan qaidi hui qaime bhi jalne lagay
qaime jalay jis ne quran pada chaand zehra ka tha
khanjar talay
jis ne sajda kiya...