Kanz e Aza

Jo Naame Hussain

A noha for Imam Hussain (a.s), written by Urooj Bijnori. Lyrics in Roman Urdu.

jo naame hussain ibe ali leke guzar jaye

toofan ka pani bhi agar ho to tehar jaye


kya kehna hai dashte bala teri zameen ka

hai zinda e javez yahan aake jo mar jaye

jo naame hussain…


sheh kehte thay hum deen pe aanch aane na denge

zar jaye ke ghar jaye pisar jaye ke sar jaye

jo naame hussain…


maa ne teri zulfon ko sawara to hai akbar

darr hai kya isi raazae hasti na bikhar jaye

jo naame hussain…


kamsin hai yateemi hai aseeri hai khalaq hai

aisa na ho zindan may sakina kahin mar jaye

jo naame hussain…


sughra se maraz may wo bhare ghar ka bichadna

is tarha kabhi maare na marta ho to mar jaye

jo naame hussain…


socho to urooj ab wo jiye kiske sahaare

peedi may jawan laal jis insan ka mar jaye

jo naame hussain…