karbala hai naqshe saani kaaba e islam ka
shakl o surat ek jaisi farkh hai bas naam ka
kaaba e dil mein guzar hone na do asnaam ka
aaeene mein baal aajaye to phir kis kaam ka
karbala hai naqshe...
aaj bhi zinda hai dekho maujizein shabbir ke
aaj bhi har roz suraj doobta hai shaam ka
karbala hai naqshe...
tun samajhte ho ke zakhmi thay hussain ibne ali
zulm ke teeron se chalni tha badan islam ka
karbala hai naqshe...
manzar e shaam e ghariban yaad aata hai mujhe
phailne lagta hai jab aa kar andhera shaam ka
karbala hai naqshe...
munkir e aale mohamed ki sana mai kyun karun
kyun qalam se kaam loon lafzon ke qatle aam ka
karbala hai naqshe...
madhe sheh se do jahan mein mil gaya mujhko urooj
zaat par sach hai asar padta hai uske naam ka
karbala hai naqshe...