Kanz e Aza

Koi aur Ho To Lao

A noha for Imam Hussain (a.s), written by Urooj Bijnori. Lyrics in Roman Urdu.

dil o jaan e meer e kausar koi aur ho to lao

ke hussain ibne hyder koi aur ho to lao


raahe haq mein banda parwar koi aur ho to lao

jo luta sake bhara ghar koi aur ho to lao

dil o jaan e meer e kausar...


ye sadayein aa rahi hai mujhe dashte karbala se

ke misaale hurr muqaddar koi aur ho to lao

dil o jaan e meer e kausar...


jo sunaye zikre kausar wo bahot milenge lekin

jo pilaye jaam e kausar koi aur ho to lao

dil o jaan e meer e kausar...


jo kabhi na bujh sakenge jo abad talak jalenge

wo charaagh hai bahattar koi aur ho to lao

dil o jaan e meer e kausar...


kabhi deen e mustafa ko kabhi mustafa ki azmat

jo bachaye jaan de kar koi aur ho to lao

dil o jaan e meer e kausar...


mai urooj chod to doon ye rasool ka gharana

par shafi e roz e mehshar koi aur ho to lao

dil o jaan e meer e kausar...