bataati jaati hai mafhoom e karbala sab ko
hussain is liye laaye thay saath zainab ko
guzaari bhai ke laashe pe raat wo zainab
na paayi ranj se jis ne nijaat wo zainab
irada jiska hai koh e sabaat wo zainab
bajaye khud hai jo ek kainaat wo zainab
bataati jaati hai mafhoom e karbala sab ko
hussain is liye laaye thay saath zainab ko
bataati jaati hai...
ghamon ka baar uthaati hui chali zainab
khuda ki raah dikhaati hui chali zainab
lahoo se shamma jalaati hui chali zainab
yazeediyat ko mitaati hui chali zainab
dayaar e shaam ka gham zabt kar gayi zainab
yazeediyat ko kuchal kar guzar gayi zainab
bataati jaati hai...
mila jo hukm ke jao yazeed ke darbar
ali ki beti ne jaane se kar diya inkaar
phupi se kehne lagay ro ke abid e bemaar
ke hum aseer hai is waqt bekas o nachaar
ye zulm shaam ki manzil hai is ko sar kar lo
kisi tarha shab e gham ko phupi sehar kar lo
bataati jaati hai...
ye socha zainab e muztar ne nange sar hoo mai
ajeeb waqt hai mujh par ke darbadar hoo mai
hazaar bekas o majboor bhi agar hoo mai
yazeediyat ke liye ab bhi dard e sar hoo mai
ali ki beti hoo qasr e yazeed dhaa doongi
yazeed kaun hai mai kaun hoo bata doongi
bataati jaati hai...
teri majaal ke sar nange tu kare tash'heer
hamare sar pe azal se hai chadar e tatheer
jala ke khana e zehra hamein kiya hai aseer
aur apne aap ko kehta hai momino ka ameer
ye keh ke itrat e uqba se tu hua mehroom
teri nijaat ki zid ban gaye hai hum mazloom
bataati jaati hai...
yazeed paikar e zillat hai ay musalmano
yazeed dushman e ummat hai ay musalmano
yazeediyat hi aziyat hai ay musalmano
urooj ki jo zaroorat hai ay musalmano
yazeediyat ko mitao isay bala samjho
khuda ke waaste mafhoom e karbala samjho
bataati jaati hai...