Kanz e Aza

Mai zainab hoon

A noha for Shehzadi Zainab (s.a) (2018). Lyrics in Roman Urdu.

Mai zainab hoon

(Sham, haye Sham).. (3)

(Haye haye Sham) .. (6)

(Haye Sham) .. (2), Haye haye sham

(Haye Sham).. (2), Haye haye Sham

(1) Mere NANA ka kalma padhte ho

Insaaf karo aye Sham walo.. (2)

Meri maa ZAHRA , Baba hai ALI


Wawaila, haye wawaila


Aye logo mera NANA hai nabi


Main ZAINAB  hoon kuch sharm to karo

(Na cheeno chadar meri, Main ZAINAB  hoon ,kuch sharm toh karo).. (2)

Na cheeno chadar meri


(2) Main Yasrab ki Shehzadi hoo'n

hai bhai mere Sardaar e Jina

Main sharm o haya ki makhdooma

hai iski gawaahi kaun o makaa

hai mere labo'n par gham ki azaa'n


wawaila haye wawaila


Chadar jo chini mar jaugi


Main ZAINAB   hoon, kuch sharm toh karo

(Na cheeno chadar meri, Main ZAINAB  hoon ,kuch sharm toh karo).. (2)

Na cheeno chadar meri


(3) Bhai pe mere kyu baaghi ke

ilzaam lagaye hai tumne

Saadaat ki aamad se pehle

bazaar sajaye hai tumne

Gham mere badhaye hai tumne


wawaila haye wawaila


Dil thaam ke mai yeh kehti rahi


Main ZAINAB  hoon, kuch sharm karo

(Na cheeno chadar meri, Main ZAINAB  hoon ,kuch sharm toh karo).. (2)

Na cheeno chadar meri


(4) Is tarah MOHAMMAD ke dil ko

tum logo ne paamaal kiya

Sadqe ki khajuro'n se tumne

saadaat ka isteqbaal kiya

Sadmo'n ne mera yeh haal kiya


wawaila haye wawaila


Tasbeeh meri yeh baat bani


Main ZAINAB hoon kuch sharm karo

(Na cheeno chadar meri, Main ZAINAB  hoon ,kuch sharm toh karo).. (2)

Na cheeno chadar meri


(5) Galiyo me charagha hota hai aur AAL E PAYAMBAR roti hai

Naize pe baradar rota hai aur AAL E PAYAMBAR roti hai

Is baat pe khwahar roti hai


wawaila haye wawaila


Tum hanste rahe mai roti rahi


Main ZAINAB  hoon, kuch sharm  karo

(Na cheeno chadar meri, Main ZAINAB  hoon ,kuch sharm toh karo).. (2)

Na cheeno chadar meri


(6) Baalo'n ki safedi par meri

meelo'n ki musafat roti hai

Na paak nigaahein uthti hai

SAJJAD ki ghairat roti hai

Is baat pe qismat roti hai


wawaila haye wawaila


Be jurm o khata kyu qaidi bani


Main ZAINAB hoon, kuch sharm karo

(Na cheeno chadar meri, Main ZAINAB  hoon ,kuch sharm toh karo).. (2)

Na cheeno chadar meri


(7) Be parda mujhe dekha hi nahi

Suraj ne kabhi BABA ki qasam

Mehmil ke bina nikli na kabhi

hai yaad mujhe woh jaah o hasham

Karti hoon buka har ek qadam


wawaila haye wawaila


Mehmil ke bina main Sham chali


Main ZAINAB hoon,kuch sharm karo

(Na cheeno chadar meri, Main ZAINAB  hoon ,kuch sharm toh karo).. (2)

Na cheeno chadar meri


(8) Taareekh e sitam dohrayi gayi

mujhe jiteji jo maar gayi

AMMA ki tarah se ZAINAB bhi

peshi ke liye darbaar gayi Aur sar se mere dastaar gayi


wawaila haye wawaila


Darbaar talak yeh kehti gayi


Main ZAINAB hoon, kuch sharm karo

(Na cheeno chadar meri, Main ZAINAB  hoon ,kuch sharm toh karo).. (2)

Na cheeno chadar meri


(9) Hai kund zabaane aur qalam

ashko'n ko zabaa'n kar sakte nahi

Irfan aur Mazhar chahe bhi

zakhmo'n ko ayaa'n kar sakte nahi

Rudaad bayaa'n kar sakte nahi

wawaila haye wawaila Kyu kehna pada BIBI ko meri


Main ZAINAB hoon, kuch sharm karo

(Na cheeno chadar meri, Main ZAINAB  hoon ,kuch sharm toh karo).. (2)

Na cheeno chadar meri