main karbobala ke maqtal se
bhuke bachon ko layi hoon
ghar baar luta kar sab apna
bhai ko ganwa kar aayi hoon
main zainab hoon main zainab hoon
bhai ko kho chuki hoon
main zainab hoon main zainab hoon
1. bhai ki amanat la na saki
yeh tegh jigar par layi hoon
zindan mein sakina bibi ki
main khabr bana kar ayi hoon
kuch baat karo mujhse bhaiya ..main zainab hoon
2. main shaam mein jakar aye bhai
darbar sitam ka dhayi hoon
darbar sitam ka dhakar main
abbas ka parcham layi hoon
zalim ko kiya main ne paspa..main zainab hoon . . . .
3. wada huwa pura aye bhai
maqsad ko bacha kar layi hoon
zindan mein musibat se chut kar
main chehlum karna ayi hoon
jalta hain jigar ghumse mera..main zainab hoon .
4. shadi main huwi yeh barbadi
main chot jigar par khayi hoon
bewa huwi dulhan hai ghazab
saat usko main apne layi hoon
pamal huwa qasim dulha..main zainab hoon . . . . .
5. cheni gayi chadar sar se mere
main pusht pe durre khayi hoon
hain neel rasan ke bazo par
yeh ajre risalat payi hoon
halat yeh meri dekho to zara ..main zainab hoon . .
6.rudad -e- safar sunlo amma
har gaam pe main dekh payi hoon
saugat -e- safar main bhai ka
main khoon bhara kurta layi hoon
ab mushkil hain jeena mera.. main zainab hoon . . . .
7. maare gaye athara bhai
takhdeer main kaisi payi hoon
bhai ko ganwa kar ayi hoon
kunbe ko luta kar ayi hoon
kehti thi hasan rokar dukhiya
main zainab hoon
main zainab hoon . . . .