chasma falak ne dekha yeh manzar
ran ko chala humshakle payambar
thame kamar yeh kehte the sarwar
mehlan mehlan ya ali akbar
1. cheenliya ankhon ka ujala
gham mein tumhare din hain andhera
beta zaeefi khati hain thokar
mehlan mehlan ya ali akbar . . . .
2. kaise sahenge beta tera gham
qaima qaima hota hain matam
dar pe khadi hain zainab -e- muztar
mehlan mehlan ya ali akbar . . . . .
3. dil mein mere ek hashr bapa hain
kise kaho yeh karbobala hain
koi nahi hain munis-o-yawar
mehlan mehlan ya ali akbar . . . . .
4. khoon -e- jigar ankhon se rawan hain
bhai mera abbas kaha hai
daag hain taaza bhai ka dil par
mehlan mehlan ya ali akbar . . . . .
5. karbobala akbar ki jawani
hai yeh mere nana ki nashani
lakhte jigar hum shakle payambar
mehlan mehlan ya ali akbar . . . . .
6. kaise jiyegi maa dukhyari
gham mein tumhare karti hain zari
hota hain veera mera bhara ghar
mehlan mehlan ya ali akbar . . . . .
7. tegh -o- tabar yeh zulm ke saye
beta sabhi hain khoon ke pyase
tegh -o- tabar yeh shaam ka lashkar
mehlan mehlan ya ali akbar . . . . .
8. shai ko sukune khalb idhar tha
ankhon main jab tak noor-e- nazar tha
shai yeh sada dete the barabar
mehlan mehlan ya ali akbar . . . . .
9. badke farid ab kaun sambhale
door bohat hain chahane wale
nauha yahi tha shai ke laboun par
mehlan mehlan ya ali akbar . . . . .