Kanz e Aza

Mera Akbar Maar

A noha for Ali Akbar (a.s), written by Zeeshan Abidi (2025). Lyrics in Roman Urdu.

maara gaya hai naize se beta hussain ka

ye sun ke ajab haal tha maula hussain ka


kabhi girte thay kabhi uth'te thay

kehte thay hussain ye ro ro kar

mera akbar maar diya mera akbar maar diya


kis tarha uthaunga laasha haye mai apne kaandhe par

mera akbar maar diya mera akbar maar diya


bete ki judaai aankhon ki beenayi bhi le jaati hai

ek maa jaa jaa kar qaimon ki deewaron se takrati hai

jab baap sadayein deta hai ran mein laashon se takra kar

mera akbar maar diya...


armaan akbar ki shaadi ka mere dil mein hi dam tod gaya

socha tha mai usko apne haathon se banaunga dulha

ye baap sajayega haye ab sehra kis ke maathe par

mera akbar maar diya...


atthara saal jise paala naazon se meri zainab ne

barchi ke baad us bete ko talwaron se maara sab ne

kis tarha kahunga qaimon mein jab jaunga laasha lekar

mera akbar maar diya...


mujhe hausla de warna beta tera baba bhi mar jaayega

mujhse tere qaatil kehte hai tera akbar ab na aayega

wo naiza dikha kar haste hai jab kehta hoon mai ro ro kar

mera akbar maar diya...


chalte chalte ye kehte huwe haathon se kamar ko thaam liya

abbas agar tum hote to mera akbar bhi zinda hota

pehle tujhe maar diya aur ab in shaam ke logon ne mil kar

mera akbar maar diya...


jab paas akbar ke pahunche to zakhmi uska seena dekha

bete ne aakhri hichki li jab toota hua naiza khayncha

shabbir ne bas ye kehte huwe sar rakh diya zakhmi seene par

mera akbar maar diya...


zeeshan o raza jab beti ka khat bete ke seene pe rakha

shabbir ke ashkon ki tarha akbar ka khoon tapakne laga

jis haath se barchi khaynchi thi us haath se likha jab khat par

mera akbar maar diya...