wo zakhmi ali aur wo ekkeeswi ki shab
bahcon se ali bole khareeb aao mere sab
sar baap ka chooma to ye kehne lagi zainab
saaya mere baba ka salamat rahe ya rab
ye sunte hi moo phayr ke rone lage hyder
kyun rote hai jab bachon ne ye poocha lipat kar
mere bachon meri aakhri raat hai
ghar may kohraam tha jab ali ne kaha
mere bachon meri aakhri raat hai
kal yahin se uthega janaza mera
mere bachon meri aakhri raat hai
jab kafan odh kar ghar se jaunga mai
jaanta hoo bahot yaad aaunga mai
mujhko dhoondoge hujre may jaa kar magar
chaah kar bhi tumhe mil na paunga mai
dekhlo chehra jee bhar ke tum baap ka
mere bachon meri aakhri raat hai
ghar may kohraam tha...
haal bazaar ka aaya jab roo baroo
ro ke hyder ne beton se ki guftugoo
mere sar se jo aaya hai beh kar abhi
saaf kar do meri aankh se wo lahoo
dekhlun mai zara betiyon ki rida
mere bachon meri aakhri raat hai
ghar may kohraam tha...
dekho abbas jab qaid hogi behan
na hi tum hoge aur na hussain o hassan
mere sajjad ko paas lao mere
usne chalna hai kaanton pe seh kar chuban
bosa lelun mai sajjad ke paon ka
mere bachon meri aakhri raat hai
ghar may kohraam tha...
mere hote huwe dar giraya gaya
fatema ko tamacha lagaya gaya
mar chuka tha wahin jab mere saamne
haath par taziyana lagaya gaya
dafn ho jaye ab badan bhi mera
mere bachon meri aakhri raat hai
ghar may kohraam tha...
meri ek zarb par dekho rona nahi
yaad karna wo khanjar wo jalti zameen
hoga jab maa ki godhi may bete ka sar
tera zarbein chalayega jis par layeen
aakhri baar mai choom loo wo gala
mere bachon meri aakhri raat hai
ghar may kohraam tha...
jinko khaana khilaata tha jaa kar ali
unka mere ilaawa nahi hai koi
tum khayal un yateemon ka rakhna hassan
baithna saath jab yaad aaye meri
kal se doonga unhe kaise mai hausla
mere bachon meri aakhri raat hai
ghar may kohraam tha...
ay raza aur zeeshan kya waqt tha
haath zainab ka shabbar ko saumpa gaya
sar jhuka kar bahot royi ummul baneen
aakhri saans may jab ali ne kaha
saump doo haath ghazi ko shabbir ka
mere bachon meri aakhri raat hai
ghar may kohraam tha...