Kanz e Aza

Mere Humsafar

A noha for Imam Ali (a.s), written by Kumail Jafri. Lyrics in Roman Urdu.

ba waqte ruqsate hyder jo aayi roohe batool

tadap ke boli mere humsafar wasi e rasool

huwa na aapki tarha koi bhi yun maqtool

ye jaan leva musibat kiya ise bhi qabool

bas ab ye zabt e sitam khatm kijiye maula

hamein bhi apna zara waqt dijiye maula


ay mere hamsafar mere hyder mai aayi hoo

lene tumhe ay saaqi e kausar mai aayi hoo


ab sang chalo ke zulm o sitam seh chuke bahot

hum bhi baghair aap ke ab reh chuke bahot

is waaste bhi ay mere shauhar mai aayi hoo

lene tumhe ay saaqi e kausar...


kaisa sitam hai kaisa musibat ka hai samaa

ghash mein hai aap aur hai sar se lahoo rawan

marham lagane zakhm ke upar mai aayi hoo

lene tumhe ay saaqi e kausar...


bachon ka kitna dhyan rakha mere baad mein

ehsaas e maa na hone diya mere baad mein

karne tumhara shukriya dilbar mai aayi hoo

lene tumhe ay saaqi e kausar...


gehra hai zakhm e taygh amama hai khoon mein

dooba hua jo aap ka chehra hai khoon mein

karne ko saaf wo rukh e anwar mai aayi hoo

lene tumhe ay saaqi e kausar...


sab saump ke hassan ko mere saath mein chalo

ab odhlo kafan ko mere saath mein chalo

faryad ye zaban par lekar mai aayi hoon

lene tumhe ay saaqi e kausar...


ghabrao mat ke shabbar o shabbir bhi to hai

abbas bhi hai zainab e dilgeer bhi to hai

ye soch kar wasi e payambar mai aayi hoo

lene tumhe ay saaqi e kausar...


firdaus mein bhi ho ke ye dukhiya udaas hai

haan aap ke baghair ye zehra udaas hai

behre sukoon ay mere hamsar mai aayi hoon

lene tumhe ay saaqi e kausar...


jis dam gayi hayaat ko deke rehaai mai

leke gayi thi aap ke ghar se vidaai mai

phir ek baar aap ke ghar par mai aayi hoo

lene tumhe ay saaqi e kausar...


ay aamir o kumail wo manzar ajeeb tha

godhi mein sar ko rakh ke ye kehti thi fatema

baba ke paas ashk baha kar mai aayi hoo

lene tumhe ay saaqi e kausar...