Kanz e Aza

Mere Janaze se Zainab

A noha for Imam Ali (a.s), written by Zeeshan Abidi (2026). Lyrics in Roman Urdu.

ali ke ghar mein ye kaisi ali pe ghurbat thi

hussain seene se lipte thay kya qayamat thi

ukhadti saans thi haye khareeb rukhsat thi

ali ke honton pe ye aakhri wasiyat thi


mere janaze se zainab ko mat chudana hussain

wo jab talak na kahe chehra mat chupana hussain


jo beti dekh nahi paayi mera sar zakhmi

na jaane kaise mujhe wo kafan mein dekhegi

wo seh na payegi dunya se mera jaana hussain

mere janaze se...


sambhalna meri mayyat pe mar na jaaye behen

wo jaanti hai ke tum ko nahi milega kafan

khayal rakhna kafan jab muhje udaana hussain

mere janaze se...


tumhare chehra pe wo gham na dekh payegi

yateem beti meri aur toot jayegi

tum uske saamne aansu nahi bahana hussain

mere janaze se...


chali thi kis tarha talwaar ye bata dena

jo mera haal tha masjid mein wo suna dena

amaama khoon mein dooba nahi dikhana hussain

mere janaze se...


khuda ka shukr adaa kar ke haye bole ali

mere janaze ki raunaq hai betiyan meri

khuda ko tohfa hai ghar betiyon ka aana hussain

mere janaze se...


kafan mein dekh ke saansein hi rukh na jaaye kahin

jahan wo baithe suno tum bhi baith jaana wahin

wo ghash mein aaye to shaano ko tum hilaana hussain

mere janaze se...


rakhoge haath ab unke saron pe tum jaa ke

yateem kufa ke be-aasra na ho phir se

tum apne haathon se khaana unhe khilana hussain

mere janaze se...


sukoon milta hai jab paas hoti hai beti

ye jaan jaaoge kyun khaas hoti hai beti

sakina aaye to seene se tum lagana hussain

mere janaze se...


pukare roke ay zeeshan aur raza ye ali

uthaane dena janaza agar meri beti

tum uske saamne abbas ko bulana hussain

mere janaze se...