jab suna sughra ne laut aaya watan mein khafila
haye jab pahunchi to manzar dekh kar ro ke kaha
ay phuphi amma bhara ghar tha bhaiyon se mera
kya hua karbobala mein kuch to batlayein zara
haye rote huwe zainab ne kaha ay sughra
na tera bhai raha na hi mera bhai raha
baap jeeta bhi to kis tarha se ye gham seh ke
bhai ko pyar hi itna tha ali akbar se
jis ghadi seena e akbar se sina ko khayncha
na tera bhai raha...
haye jis mashk mein asghar ke liye tha pani
haan usi mashk mein saansein thi mere ghazi ki
nehr par mashk pe jab teer laga pani baha
na tera bhai raha...
saath abbas thay akbar thay badi dhaaras thi
kis mein jurrat thi nazar hum pe uthata koi
tha yehi ek sabab hum jo huwe be-parda
na tera bhai raha...
kaise batlaun sitam us ne uthaye kitne
shimr ne durre sakina ko lagaye kitne
kha gaya shaam ke zindan mein usay ye sadma
na tera bhai raha...
ye to acha hi hua tum na gayi karbobala
tum se dekha hi nahi jaata jo maine dekha
seena akbar ka chida kat gaya sarwar ka gala
na tera bhai raha...
meri in aankhon ki thandak to mere bhai thay
maine in aankhon se dekha hai unhe marte huwe
kaise zinda hoon mai ab tak ye mujhe sughra bata
na tera bhai raha...
bas tere waaste aayi hai madine zainab
warna maqsad mere jeene ka nahi koi bhi ab
haye ab kaun sahara hai mere jeene ka
na tera bhai raha...
fatema binte hassan se ye kaha kuch bolo
bhaiya qasim bhi nahi aate nazar kyun mujhko
fatema binte hassan kehne lagi ay sughra
na tera bhai raha...
kaisi behno pe judaai ye qayamat laayi
saari behno ki sadaon mein tha bhai bhai
sun ke zeeshan o raza roya madina saara
na tera bhai raha...