Kanz e Aza

Qabre Zehra pa ye kehne lagi rokar zainab

A noha for Wapasi-e-Ahle Haram, recited by Anjuman e Hussaini (Imambada). Lyrics in Roman Urdu.

QABR-E-ZEHRA PA YE KEHNE LAGI ROKAR ZAINAB

Tha mera laadla Akber jo muradon wala

Uske seene pa layenon ne hai naiza maara

Dekhti reh gaye Akber ko tadap kar Zainab


Aaye hai apne bhare ghar ko luta kar Zainab


Mera Qasim nahi ab Aon-o-Mohammed bhi nahi

Bazu Abbas ke darya pa kahin lash kahin

Dagh-e-gham leke yahan aaye hai dil par Zainab


Aaye hai apne bhare ghar ko luta kar Zainab


Che(6) mahine ka mujahed Ali Asghar pyasa

Chid gaya khusk gala teer gale par jo laga

Yaad karti hai ose ashk baha kar Zainab


Aaye hai apne bhare ghar ko luta kar Zainab


Asr-e-ashoor qayamat hi kuch aise aaye

Mera bhaye tahe khanjar tha badi ghurbat thi

Kaise bhulegi bhala hashr ke manzar Zainab


Aaye hai apne bhare ghar ko luta kar Zainab


Har qadam aik museebat pa museebat chaye

Kufa-o-sham ke darbar se hokar aaye

Gaye bazaron mein be maqna-o-chadar Zainab


Aaye hai apne bhare ghar ko luta kar Zainab


Taqte shahi pe to baitha tha layee’n wawaila

Sathsau(700) kursi nasheen bhi the wahin wawaila

Dekh kar roti thi majaye ka jab sar Zainab


Aaye hai apne bhare ghar ko luta kar Zainab


Sar-e-darbar rasan basta khade the hum sab

Chadaren sar pa na thi zaqm laga dil pe ajab

Apne balon se gaye muh ko chupa kar Zainab


Aaye hai apne bhare ghar ko luta kar Zainab


Mere khatbon ne kiya hashr ka samaa’n barpa

Muh chupaye jo layeen khud ka wahin baitha tha

Misl baba ke main goya thi ghazanfar Zainab


Aaye hai apne bhare ghar ko luta kar Zainab


Shimr ne pyasi Sakina ko tamache maare

The yatemon pe bade zulm-o-sitam ke saaye

Aaye hai sham ke zindaan mein kho kar Zainab


Aaye hai apne bhare ghar ko luta kar Zainab


Haye jo goor-e-gharebaan ka mujawer tha ose

Touq-o-Zanjeer mein jagda tha layeenon ne jise

Laye hai sath faqat us ko bacha kar Zainab


Aaye hai apne bhare ghar ko luta kar Zainab


Sath mein Fatema Zehra ke chali aaye hain Aur wahin apne bhare ghar ko yahan laaye hain

Majlise Shah mein Qasim hai jo ghar ghar Zainab


Aaye hai apne bhare ghar ko luta kar Zainab