RUN SE JAWAA’N KA LASHA SHABBIR LAA RAHE HAIN
Wo pyas char din ki aur dhoop ki wo shiddat
Har gaam bekasi hai har lamha ek qayamat
Bête ke gham ne ki hai Shabbir ki ye halat
Tarikiyon ke badal nazron mein cha rahen hain
Hum Surat-e-Payamber Aththara(18) saaal wala
Zainab ne mannaton se nazon se jisko pala
Wo laal jo pidar ki ankhon ka tha ujala
Afsoos ab usi ka lasha utha rahe hain
Ankhen lahu lahu hain khooni har aik manzar
Abbas ki judaye Qasim ka dagh dil par
Nauha kuna Shahedeen ankhon se khoo’n baha kar
Maiyyat liye pisar ki maidaa’n se aarahe hain
Aansu lahu ke roti ankhen hai aasmaa’n ki
Kandha zayeef ka hai mayyat hai naujawaa’n ki
Shabbir par ye kaise manzil hai imtehaa’n ki
Nana se jo kiya tha wada nibha rahe hain
Khaimon mein bi biyon ke rone ka ghul macha hai
Sab ki zuban pe jari Akber ka marsiya hai
Dil thaam kar falak bhi manzar ye dekhta hai
Lashe pisar zameen par Sarwar lita rahe hain
Rukhsat huwi basarat rashke qamar ke gham mein
Dil tukde ho raha hai laqte jigar ke gham mein
Kaise bayaa’n ho Yawar nor-e-nazar ke gham mein
Ankhon se Shah khoo’n ke darya baha rahe hain