RONE LAGE BARATI RONE LAGI KHUDAYE
KHAIME MEIN JAB DULHAN KE DULHA KI LASH AAYE
Farte alam se ghash mein Kubra ka tha wo aalam
Khud maut bhi khuda ko dene lagi dohaye
Masnad pe rakh ke lasha Fizza pukarti hai
Tukdon mein but gaye hai Farwa teri kamaye
Baraat le gaye the lasha utha ke laye
Ro kar ye bain karte hain Shahe Karbalaye
Jab biya ho raha tha soncha na tha dulhan ne
Kuch der ki hai shadi kuch der mein judaye
Dekhe jo hath khali Shahe Karbala ke
Daste Ajal ne khoo’n ki mehendi use lagaye
Masnad pe biya ki hai naushah ka janaza
Taqdeer ne ye kaisi tasweer hai banaye
Hathon mein jis ke Yawar kangan na the mayassar
Bandh jayegi rasan mein kal subha wo kalaye