SARO PE KHAAK UDAAO HAI RUKHSAT-E-SHABBIR
Ye kal ka zikr hai saaman tha moharram mein
Tha dil mein shauq jo tashna labon ke maatam mein
Bichha tha farsh-e-aza jab Hussain ke gham mein
Ajab hai haal magar aaj ahl-e-aalam mein
Khazaa’n nazar mein hai ghar ghar Wida-e-Sarwar se
Gham-o-Alam se hai mehshar Wida-e-Sarwar se
Hai soona soona ye mimbar Wida-e-Sarwar se
Dilo pa chalte hai khanjar Wida-e-Sarwar se
Wida-e-Zainab-o-Kulsoom se jigar hai phata
Sakina bibi ka bhi gham hai aur Abid ka
Lahu mein gharkh hai Qasim ke gham mein ahl-e-aza
Uthake mashk-o-alam sab hi karte hain girya
Lipatke jhoole se bacche nidhaal hote hain
Jawaa’n Shabi-he-payambar ke gham mein rote hain
Zari-e-Shai pa zayeef apni jaan khote hain
Saro ko peet-te ashko se muh ko dhote hain
Uthake taziye chalte the sab hi peero jawaa’n
Tha shauq girya-o-maatam ka ek naya toofaa’n
Imam Bade ki janib the misl Ab-re-rawaa’n
Hai Anjuman ye Hussaini ki dekhe ahl-e-aza
Wida-e-Fatima Zehra hai roye’n rulwaye’n
Hussain hi na rahenge to chain kya paaye’n
Udaas taziya khaane hain kaise batlaye’n
Sabhi ka nauha hai veera’n gharo’n mein kya jaaye’n
Karenge agle baras phir se majlisen barpa
Lahu ke qatro ne seeno’n se behke dee ye sada
Wafoor-e-Girya se Qasim ye aarahi hai nida
Muaaf keejey jo khidmat mein hogayi ho qata