SARWAR KE AZADAAR
Maare gaye be jurm-o-qata Abid-e-Beemar – Sarwar ke azaadar
Zehre dagha se dardo musibat me giraftar – Sarwar ke azaadar
Pucha gaya shiddath ki musibat huwi kis jaa – Aaye sayyad-e-wala
Ashsham kaha aapne roro ke kayee baar – Sarwar ke azaadar
Chaalees baras baap ko rote huwe guzri – Bas yunhi basar ki
Ab tak bhi jise kehte hai sab abid-e-beemar – Sarwar ke azaadar
Zainab ke sakina ke the bas tumhi sahare – The dard ke maare
Har waqt rahe ranj-o-masayeb mein ye ghamkhwar – Sarwar ke azaadar
Zindaa’n ke andhere sejo ghabrati thi nadaa’n – Khud hote the girya
Jab bali Sakina ko rulate the sitamgaar – Sarwar ke azaadar
Wo kaunsi aafat hai jo unpar nahi aayi – The haq ke fidaai
The ranj-o-mehan, tauq-o-salasal mein giraftaar – Sarwar ke azaadar
Qasim bhi bade dard se kehta hai ye nauha – Aye kul ke masiha
Usko bhi shifa dijiye aye abid-e-beemar – Sarwar ke azaadar