shaam ka bazaar ay khaafla salaar ay abid e bemaar
sayyed e sajjad tera shaam jaana yaad hai
raah mein ashkon ke badle khoon bahana yaad hai
sayyed e sajjad tera shaam jaana yaad hai
wo maqaatil ke masayib kaise likhega qalam
karbala se shaam pahunche jis ghadi ahle haram
tera rona shaamiyon ka muskurana yaad hai
sayyed e sajjad tera...
jo bi jiske dil mein aaya wo sitam usne kiya
aag barsayi kisi ne aur kisi ne ye kaha
baaghi qaidi teri shaahi ka zamana yaad hai
sayyed e sajjad tera...
qaidiyon ke aage aage khooli deta tha sada
ghar sajao aa raha hai baaghiyon ka khaafla
ye manadi sun ke tera sar jhukana yaad hai
sayyed e sajjad tera...
chand sa'atein ka safar tha tees ghanton mein kiya
rooh zakhmi jism zakhmi aur dil mehwe buka
apne baalon se haram ka moo chupana yaad hai
sayyed e sajjad tera...
ibne marjaana ne tujh par ki sitam ki inteha
jab sakina ko kaneezi mein talab usne kiya
us ghadi khutba wo zainab ka sunana yaad hai
sayyed e sajjad tera...
ho raha tha yun ta'aruf bar sare darbare aam
qaidiyon mein kaun wo bibi hai zainab jis ka naam
aur haram ka bibi zainab ka chupana yaad hai
sayyed e sajjad tera...
safdar o mazhar ye nauha hai imame waqt ka
mere maula ke masayib ban gaye hai naahiya
inke jumlo se abhi tak wo zamana yaad hai
sayyed e sajjad tera...