taweez e hassan jab qasim ne
shabbir ko dikhlaya
bhai ko bhai yaad aaya
khat bhai ka pad kar roye
dil dard se tharraya
bhai ko bhai yaad aaya
taweez e hassan...
ek pal ke liye nazron mein phira
bhai ki shahadat ka manzar
kya bain kiye thay behno ne
tha tasht mein tukde tukde jigar
qasim ka kahin ye haal na ho
is baat ne tadpaya
bhai ko bhai yaad aaya
taweez e hassan...
tehreer mein shabbar ne ye kaha
taskeen e mohabbat de dena
maqtal ki ijazat jab maange
qasim ko ijazat de dena
tab nauha kiya aur qasim ko
seene se liptaya
bhai ko bhai yaad aaya
taweez e hassan...
khat padke ijazat di sheh ne
hathyaar sajaye qasim ne
talwaar laga kar patke mein
jauhar wo dikhaye qasim ne
sadqa jo utaara zainab ne
dil shaah ka bhar aaya
bhai ko bhai yaad aaya
taweez e hassan...
ghode se gira jab ibne hassan
maula ko pukara wawaila
pahunche jo shah e deen maqtal mein
pamaal badan tha qasim ka
bhai ke pisar ko maula ne
is haal mein jab paaya
bhai ko bhai yaad aaya
taweez e hassan...
phir apni aba ke daaman mein
qasim ko sameinta maula ne
kis tarha uthaun ye laasha
ghazi ko pukara maula ne
qasim ka saraapa tukdo mein
taqdeer ne dikhlaya
bhai ko bhai yaad aaya
taweez e hassan...
qaime mein junhi laaye laasha
sar ahle haram ne peet liya
fizza ne kaleja thaam liya
zainab ke labon par nauha tha
farwa ki taraf dekha sheh ne
aankhon mein lahoo aaya
bhai ko bhai yaad aaya
taweez e hassan...
mesum wo qayamat ka manzar
tehreer mein laaya hai mazhar
gathri ko junhi khola sheh ne
sadaat huwe phir khaak basar
ashkon ko ali ka beta bhi
tab rok nahi paaya
bhai ko bhai yaad aaya
taweez e hassan...