tera gham zinda hai abhi tak soghwaron mein
tera matam shahe deen bapa hai chand taaron mein
tera akbar seene pe jis ke
maara tha naiza ahle jafa ne
royi karbal ki zameen buka thi reg zaaron mein
tera matam shahe deen...
tera qasim ghodon ne jis ko
pamaal maqtal mein kar diya tha
haye wo tanha tha sar e maqtal hazaron mein
tera matam shahe deen...
tera ghazi darya kanare
sota hai haye shaane kataye
rota hai darya falak hai soghwaron mein
tera matam shahe deen...
tera asghar haathon pe tere
maara gaya jab teer e sitam se
chaayi maqtal mein khiza fughan thi ye baharon mein
tera matam shahe deen...
tere ghar ko ummat ne loota
qaime jalaye cheeni ridayein
deti thi zehra dilaase dilfigaron mein
tera matam shahe deen...
teri dukhtar daaghe yateemi
paaya tha jis ne is kamsini mein
aag daman mein lagi lahoo tha goshwaron mein
tera matam shahe deen...
teri behne jab sar barehna
bazaar e kufa se jaa rahi thi
rote thay abid fughan thi ashk baaron mein
tera matam shahe deen...
teri zainab beton ko apne
royi nahi hai royi hai tujh par
behna bulaati thi tujhe ashkon ke dhaaron mein
tera matam shahe deen...
tera mazhar din raat nauhe
likhta hai tere purse ki khaatir
deta hai wo bhi sadayein soghwaron mein
tera matam shahe deen...