Kanz e Aza

Tera Sadqa Hussain

A noha for Imam Hussain (a.s), written by Yawar. Lyrics in Roman Urdu.

ya hussaina hussaina hussaina


gir gir zameen pa teeron pa thehra jo jism e shaah

manzar ye dekh rote rahe saare ambiya

besaakhta ye naara e takbeer ne kaha

tera sadqa hussain tera sadqa hussain


roti rahi namaz musalla bhi ro pada

pyasa hussain zeen se jab khaak par gira

sar ko kata ke kar diya baland la ilaah

arshe bari se khaaliq e akbar ne di sada

tera sadqa hussain...

ya hussaina...


apne karam se rasme karam par karam kiya

tu ne wo mezbaan ka haq hai adaa kiya

karbobala ye kehti hai shabbir shukriya

sehra ko tu ne arshe mo'alla bana diya

tera sadqa hussain...

ya hussaina...


aaine la-ilaah ki bunyad hai hussain

khaaliq jo kar raha hai wo faryad hai hussain

hurr ka zameer aaj bhi sarshaad hai hussain

insaan tere dam se hi azaad hai hussain

tera sadqa hussain...

ya hussaina...


haq ko buland kar ke rukega ye karwan

udti rahegi parcham e baatil ki dhajjiya

qabee batool aaj bhi karti hai ye fughan

haq ki baqa ke waaste bolegi har zaban

tera sadqa hussain...

ya hussaina...


binte ali zameen pe giri thaam kar jigar

phaila ke dono haath buka e wo nauhagar

qurban kar diye hai pisar dono bhai par

zainab ye keh rahi thi bayaban mein nange sar

tera sadqa hussain...

ya hussaina...


bikhra pada tha azmate tauheed ka quran

bemaar e karbala pe ajab tha ye imtehan

pehlu mein saath jiske sakina thi neem jaan

naize pe sar hussain ka dekha to di azaan

tera sadqa hussain...

ya hussaina...


binte ali ne sabr ka har imtehan diya

aankhon mein ashk aaye to ashkon ko pee liya

kufa ki shaahzadi ne paidal safar kiya

raahe khuda mein jo diya ye soch kar diya

tera sadqa hussain...

ya hussaina...


yawar har ek gham ka madawa hai ya hussain

momin ki zindagi ka asaasa hai ya hussain

quran e karbala ka khulaasa hai ya hussain

khaaliq jo pad raha hai wazeefa hai ya hussain

tera sadqa hussain...

ya hussaina...