Kanz e Aza

Ammu Nahi Aaye

A noha for Shehzadi Sakina (s.a), written by Yawar. Lyrics in Roman Urdu.

kehti thi ye ro ro ke sakina mere baba

ammu nahi aaye

mai kab se khadi dekhti hoo raasta unka

ammu nahi aaye


ay kaash na mai bhejti saahil pe chacha ko

aameen kahe haath uthaati hoo dua ko

ghar khair se aa jaye chacha jaan khudaya

ammu nahi aaye...


kab mashk-o-alam leke suye nehr gaye thay

aur deke gaye thay wo mujhe kya kya wo dilaase

sab bhool gaye nehr ka paaya jo kanara

ammu nahi aaye...


kooza liye haaton mein sare raah khadi hoo

hai soch na dushwar magar soch rahi hoo

shayad unhe mujhse bi hai zyada koi pyara

ammu nahi aaye...


kehte thay ke darya se abhi laata hoo pani

kuch dayr jo hojaye to rona nahi jaani

qaime se zara door hai darya ka kanara

ammu nahi aaye...


koi unhe dede mera paigham zabani

aa jao chacha ab mai nahi maangungi pani

gham se phata jaata hai mera aah kaleja

ammu nahi aaye...


reh reh ke mera seene mein kat'ta hai kaleja

maidan se lauta nahi ab tak mera saqqa

mashkeeza chida khoon mein hai tar alam aaya

ammu nahi aaye...


mai darti hoo allah bura waqt na laaye

kuch dayr jo darya se abhi aur na aaye

dam tod'de jhoole mein asghar kahin pyasa

ammu nahi aaye...


kyon takti hai hasrat se phuphi jaan rida ko

kya hogaya darya pe bata ay zara mujhko

kis ke liye rota hai ye kunba mera saara

ammu nahi aaye...


aisa na ho aada ne unhe ghayr liya ho

mashkeeze pe teer aaye ho seene pe laga ho

saahil pe kahin doob gaya ho na safeena

ammu nahi aaye...


yawar ye buka karti thi ro ro ke sakina

ammu ki khabar lijiye ya shaahe madina

ammu ke baghiar mera dushwaar hai jeena

ammu nahi aaye...