baba baba baba mere baba
ay baba mai kaise jiyoo
is dunya may tere bina
naazon ki pali bachi par
ye kaisi qayamat aayi
ghurbat ke ghane jangal may
hai ghere huwe tanhaai
baba hi rahe na bhai
ay baba mai kaise...
ek tashna dahan shehzadi
hai sola peher ki pyasi
haal apna sunaye kis ko
ab koi nahi hai baaqi
maqtal may hui faryadi
ay baba mai kaise...
hai charon taraf tanhaai
aur charon taraf veerana
rota hai meri haalat par
ye jangal ye veerana
mai kaise rahungi tanha
ay baba mai kaise...
shabbir ki raaj dulaari
kis haal may hai bechari
maqtal may khadi ro ro kar
kehti hai ghamon ki maari
mar jayegi teri pyari
ay baba mai kaise...
durr cheen liye aada ne
kaano se lahoo behta hai
jaana hai mujhe zindan may
har ek layeen kehta hai
ye khauf mujhe rehta hai
ay baba mai kaise...
wo raat jahan raunak thi
veeran hai ab wo qaime
has has ke sitamgaaron ne
maare hai tamache mere
roka na kisi ne aa ke
ay baba mai kaise...