ay parindo dar e zindan se guzra na karo
ek yateema ko sar e shaam se sataya na karo
yaad aata hai har ek lamha madina usko
raas aaya na watan chod ke jeena usko
zakhm jo usko mile hai unhe taaza na karo
ay parindo dar e zindan...
dekhti hai tumhe jab laut ke ghar jaate huwe
uski aankhon se ubhalte hai lahoo ke chashme
itna royi hai usay aur rulaaya na karo
ay parindo dar e zindan...
tum ho azaad mubarak ho tumhe azaadi
qaid e zindan mein sakina hai magar faryadi
ek dukhe dil ko idhar aake dukhaya na karo
ay parindo dar e zindan...
ye wo zindan hai jahan qaid hai pyasi bacchi
ser o sehraab ho tum bujh na saki pyaas uski
raasta apna badal do idhar aaya na karo
ay parindo dar e zindan...
baap se pehle pehel chooti hai kamsin hai bahot
dekh kar tumko tadap jayegi mumkin hai bahot
abhi jao to teherne ka iraada na karo
ay parindo dar e zindan...
tumko maloom nahi kitni ghutan hai usko
dil bhi zakhmi hai safar ki bhi thakan hai usko
uski takleef mein ab aur izaafa na karo
ay parindo dar e zindan...
is yatema pe bahot tang hui hai dunya
tum jidhar chaahe chale jao badi hai dunya
qaid khane ke khareeb aa ke basera na karo
ay parindo dar e zindan...
ghair mumkin hai yateemi usay mehsoos na ho
aisi shamma hai ke jiska koi fanoos na ho
apne bacchon ka paron ka yahan saaya na karo
ay parindo dar e zindan...
aaj tak qabre sakina par udaasi hai suroor
dil ye kehta hai wo bacchi abhi pyasi hai suroor
uspe rone ke siwa koi bhi nauha na karo
ay parindo dar e zindan...