ya hussain ya hussain ya hussain ya mazloom
ay teen din ke pyase ye tera maujiza hai
tu ne lahoo diya to islam jee utha hai
raah e khuda mein tu ne sab kuch luta diya hai
mehsoos karne waala har dil tadap raha hai
ya hussain ya hussain...
asghar ne khoon ugla gardan pe teer kha kar
barchi lagi jo dil par tadpe zameen pe akbar
baazu kata ke soya darya pe sher e hyder
tera baras ka qasim pamaal ho gaya hai
ya hussain ya hussain...
ojhal har ek sahara aankhon se ho gaya hai
abbas bhi sidhare akbar bhi kho gaya hai
hadh ye hai bezuban bhi turbat mein so gaya hai
ghar tera lut gaya hai aabaad karbala hai
ya hussain ya hussain...
gurbat mein dushmano ne yun dushmani nikaali
murjha gayi hai tere gulshan ki daali daali
dono jahan mein pahunchi tere lahoo ki laali
sookhe galay se tere itna lahoo baha hai
ya hussain ya hussain...
dono chale thay ghar se islam ko bachane
bhai behan pa guzri kya kya hai kaun jaane
dono ko mil ke loota is arz e karbala ne
bhai bhi bekafan hai khwahar bhi be-rida hai
ya hussain ya hussain...
jannat ki shahzadi hai maadar e girami
sher e khuda padar hai hyder hai naam e naami
bhai hassan hai jiski shah hone ki ghulami
itne laqab ka maalik mazloom e karbala hai
ya hussain ya hussain...
haara hai jang tujhse baatil ka har sipahi
tu ne mitayi hurr ki taqdeer ki siyahi
di mazjidon ne bad kar is baat ki gawahi
mazloomiyat se teri islam ki baqa hai
ya hussain ya hussain...
lohay ki bediyon ka beemar boj uthaye
tere hi raaste par apne qadam jameine
allah ki raza mein khamosh sar jhukaye
phoolon pe chalne waala kaanton pe chal raha hai
ya hussain ya hussain...
ek do pahar mein tujh par kya kya sitam huwe hai
sharminda tere aage dunya ke gham huwe hai
ab tak tere masayeb tehreer kam huwe hai
jo dil pa tere guzri wo kaun likh saka hai
ya hussain ya hussain...
masroof e gham hai kab se ye kaayenat saari
kaise suroor kam ho is dil ki bekharari
har zakhm se abhi tak us ke lahoo hai jaari
sadiyan guzar gayi hai marham nahi mila hai
ya hussain ya hussain...