ay waaris e adam teri qurbaniyan
farzande fatema teri qurbaniyan
ya hussain teri qurbani ki sunnat koi bhi kar na saka
teer par teer bhi kha kar tu dua deta raha
aisi anmol ibadat koi bhi kar na saka
khaak ko khaake shifa tu ne kiya ek taraf
ek taraf aayi ye awaaz e shehenshahe najaf
tu ne maidan e jafa ko laaeq e sajda kiya
ek maidan ko jannat koi bhi kar na saka
ya hussain teri qurbani...
tujhse bayyat ka taqaza jo layeeno ne kiya
tu ne baatil ke taqazon ka jawab aisa diya
ban gaya qaari e quran bar sare noke sina
aur phir aisi tilawat koi bhi kar na saka
ya hussain teri qurbani...
subhe se shaam talak laashein uthaye thay magar
yun lada jang ke maidan mein hyder ka pisar
dasht laashon se sajaya keh uthe jinn o bashar
pyasa reh kar bhi ye himmat koi bhi kar na saka
ya hussain teri qurbani...
khud raha pyasa magar pyason ko sairaab kiya
zarf maula tere jaisa kahin dekha na suna
hurr ko seene se lagaya to yehi hurr ne kaha
aisi insan se mohabbat koi bhi kar na saka
ya hussain teri qurbani...
tere hone se azaan hai tere hone se namaz
tere sajde se mila deen e mohamed ko faraaz
har dhadakte huwe dil ki hai yehi ek awaaz
yun dilon par to hukumat koi bhi kar na saka
ya hussain teri qurbani...
faqr e adam bhi tu hi hai faqr e hyder bhi tu hi
naazish e ahle haram naazish e daawar bhi tu hi
tu hi sardar e jina hai aur kausar bhi tu hi
khud ko aaeena e aayat koi bhi kar na saka
ya hussain teri qurbani...
pyasa darya ke kanare se alamdar chala
kat gaye baazu magar nazron mein asghar hi raha
mashk se pani gaya aur deen se ghazi gaya
ye wafayein ye ata'at koi bhi kar na saka
ya hussain teri qurbani...
ek mastoor ne mushkil mein bada kaam kiya
teri mazloomi ka parchaar sar e aam kiya
khud to be-ghar hui ghar ghar tera paigham diya
is tarha teri himayat koi bhi kar na saka
ya hussain teri qurbani...
shadman hogayi zehra jo qalam chalta raha
apne alfazon mein pursa tu unhe deta raha
raat din nauhe jo mazhar ro ke tu likhta raha
zikre sheh mein ye riyazat koi bhi kar na saka
ya hussain teri qurbani...