Kanz e Aza

Baba Ali

A noha for Imam Ali (a.s), written by Mazhar Abidi. Lyrics in Roman Urdu.

subhe unees falak par jo namudaar hui

mere maula ki shahadat ki khabar le aayi

sar pe talwaar chali shor utha haye ali

apne baba ko musalle pe jo dekha zakhmi

hasnain shareefain ne di ro ke sada

baba ali baba ali

maahe ramzan ban gaya maahe aza


zarb lagi hai sher e elaahi ko

chehra lahoo may dooba hai

abbas aur hasnain ke baba ko

sajde may kis ne maara hai

baba ke sar ko zaanu pe rakh ke

haye hassan ne ro kar kaha

baba ali baba ali

maahe ramzan ban gaya...


ghar ki taraf jab le ke chale bete

bole ali girya na karo

saath hamare koi nahi aaye

jao hassan sab se keh do

aisa na ho ke aa jaye baahar

karti hui zainab ye buka

baba ali baba ali

maahe ramzan ban gaya...


khoon ali ki aankhon se jab pocha

chaadar se apni zainab ne

aankhein khuli to saamne beti ko

dekh ke hyder rone lage

zainab tadap ke baba se boli

chod ke hum ko na jaana

baba ali baba ali

maahe ramzan ban gaya...


aagayi jab ekkeeswi ramzan

zehra ke ghar shaam e ghariban

band hui hyder ki aankhein

ruk gayi saansein hogaye be-jaan

shaana hila ke kehne lagi zainab

baba utho aankhein kholo

baatein karo khamosh ho kyun baba

bolo zara kuch to bolo

aap ke gham may ab rote rote

dam na nikal jaaye mera

baba ali baba ali

maahe ramzan ban gaya...


zeeshan aur irfan e aza bete

ghar se janaza le aaye

koi naqaab may jab mayyat lene

aaya hassan bole haye

kaun ho apna chehra dikhao

bole hassan jab parda hata

baba ali baba ali

maahe ramzan ban gaya...