Kanz e Aza

Baba Jaan Alwida

A noha for Imam Ali (a.s), written by Waiz Sultanpuri. Lyrics in Roman Urdu.

baap ka ghar se taboot jis dam chala

haye beti ne ro kar padha marsiya

baba jaan alwida


khoon ke ashk aankhon se honge rawan

chain ek pal na payega ab dil mera

baba jaan alwida


ab talak mai tadapti thi maa ke liye

aap ki yaad aayegi ab raat din

sar pe maa baap dono ka saaya nahi

ye qayamat rulayegi ab raat din

ab to zainab hai aur ye yateemi ka gham

zindagi har qadam ab lagegi qaza

baba jaan alwida...

baap ka ghar se...


ro ke kehti thi zainab mere baba jaan

chain ek pal kahin ab na paungi mai

aap ka aur amma ki furqat ka gham

dono ek saath kaise uthaungi mai

ab nigahon mein chaaya rahega dhuaan

aur rulayega har dam khayaal aap ka

baba jaan alwida...

baap ka ghar se...


naam jab bhi yateemi ka sunti thi mai

kaamp jaata tha seene mein mera jigar

kaise rehte hai bacche pidar ke bina

dil dehelta tha is baat ko soch kar

mujhko himmat ki dekar ke jaayein dua

ab yateemi se zainab ka hai saamna

baba jaan alwida...

baap ka ghar se...


dard ki taygh se us ghadi ay pidar

haye mera kaleja to kat jayega

aap ke soone hujre mai jab aap ka

mujhko khaali musalla nazar aayega

aap ko dil tadap kar ke dega sada

sabr kaise karungi wahan mai bhala

baba jaan alwida...

baap ka ghar se...


aap kehte thay kufa badal jayega

lag raha hai wo din aagaya hai khareeb

ab yaqeen hogaya aap ke shehr mein

ek din hone waali hai zainab ghareeb

hai jahan meri shaahi usi shehr mein

qaid ho kar ke aaungi mai berida

baba jaan alwida...

baap ka ghar se...


ay mere baba jaan hum ne socha na tha

chod kar aap hum ko chale jayenge

baap ki wo nigahein mohabbat bhari

aaj ke baad bacche kahan payenge

mera abbas jaa karke dehleez par

kiske aane ka dekhega ab raasta

baba jaan alwida...

baap ka ghar se...


haye waiz hua ek mehshar bapa

ay ali jab ye zainab ne rokar kaha

roye hasnain o abbas sar peet kar

baap se jab beti ne ki ilteja

waqt e shaam e ghariban jo doon mai sada

aap aakar badhana mera hausla

baba jaan alwida...

baap ka ghar se...