Kanz e Aza

Baba ki Wasiyat

A noha for Imam Ali (a.s), written by Madad Ali John. Lyrics in Roman Urdu.

ekkees ki shabe aakhri saanson ka hai qissa

aulaad ko hasrat se ali maula ne dekha

dil phatne laga dekha jo zainab ne ye girya

maula ne tadapte huwe ghazi ko pukara

bolay ke ay abbas bhale jaan lutaana

ye hukm mera aakhri dam tak na bhulana


baba ki wasiyat hai isa dil mein basa le

ghazi meri zainab ki rida tere hawaale


abbas tum ab uski rida ban ke dikhana

kurte tere jisne hai badi dayr sambhale

baba ki wasiyat hai...


zainab ke kabhi nakshe dekho to ghazi

suraj se bhi kehna ke nazar apni hataale

baba ki wasiyat hai...


shabbir se zainab ko bichadne nahi dena

zehra ne ye dono hai bade naaz se paale

baba ki wasiyat hai...


zainab ne suna roke kaha baba ne ghazi

zanjeer na zainab ke koi haath mein daale

baba ki wasiyat hai...


zainab ne kaha baba mere ghazi ke hote

jurrat hai kise koi mujhe qaidi banale

baba ki wasiyat hai...


maula ne kaha waqt hai badal jaate hai beti

ehsaas nahi karte kabhi lootne waale

baba ki wasiyat hai...


ghazi ne kaha john mai tab tak hoo muhafiz

jab tak ye mere baazu koi kaat na daale

baba ki wasiyat hai...