meri dunya ujad na jaaye khudara ruk jao
hai bain ye zainab ka baba na jao
ho jaaye na ghar soona baba na jao
kal khwab mein dekha tha baba hai lahoo mein tar
veeran pada hai ghar
kufe mein wavaila baba na jao
hai bain ye zainab ka...
murghabiyan hyder ke daaman se lipat'ti hai
baba wo tadapti hai
manzar hai qayamat ka baba na jao
hai bain ye zainab ka...
amma ki judaai ko mai bhool nahi paayi
zainab pe tanhaai
dil mera hai ghabraya baba na jao
hai bain ye zainab ka...
ruk jaaye zara baba sadqa mai utarungi
jee bhar ke mai dekhungi
baba ka haseen chehra baba na jao
hai bain ye zainab ka...
baba se bichadne ki ye aakhri shab aayi
bechain hai dono bhai
ghabrata dil kyun baba na jao
hai bain ye zainab ka...
lagta hai ke zainab par hai waqt yateemi ka
mabood karam farma
afsurda hai dil mera baba na jao
hai bain ye zainab ka...
baba mujhe sadma hai amma se bichadne ka
dil phat'ta hai kyun mera
zainab ke labon par tha baba na jao
hai bain ye zainab ka...
jis waqt mohib ghar se maula e zaman nikle
aflaak larazte thay
beti ka ye nauha tha baba na jao
hai bain ye zainab ka...