Kanz e Aza

Bada ke Nooh Safina

A noha for Imam Ali (a.s), written by Mahir Lakhnavi. Lyrics in Roman Urdu.

bada ke nooh safeena ali ali bole


saleeb par dil e eesa ali ali bole

kaleja pooch le dunya ali ali bole

bada ke nooh safeena...


murraqqa khaynch le ye hikmat e qalam to nahi

jihad e aun o mohamad kisi se kam to nahi

har ek taygh ka qabza ali ali bole

bada ke nooh safeena...


hisar e naad e ali har taraf kiye hai rasool

alam ko deen ke khyber mein yun liye hai rasool

alam ka udta pharera ali ali bole

bada ke nooh safeena...


fazeelat e alawi ke diye jalaye hue

falak se utra hai apni jabeen jhukaye hue

dar e ali par sitara ali ali bole

bada ke nooh safeena...


ladaayi hazrat e abbas ki khuda ki panaah

wo khoon hai sar e saahil ke kaampti hai nigaah

lahoo mein doobta naiza ali ali bole

bada ke nooh safeena...


kanara chod diya khauf kha ke darya ne

ajeeb shaan se hamla kiya hai saqqa ne

alam ka kaampta panja ali ali bole

bada ke nooh safeena...


hili hussain ke hamlon se kufr ki bunyad

ghuroor e kufr ke lab par hai naala o faryad

uthaye taygh to dunya ali ali bole

bada ke nooh safeena...


khamoshiyon ki haqeeqat hamari samjhi hai

behan hussain ki zainab ali ki beti hai

zaban khole to lehja ali ali bole

bada ke nooh safeena...


ani to khaych li barchi ki qalb e akbar se

qadam sambhaalna mushkil hai ran mein sarwar se

dhadak dhadak ke kaleja ali ali bole

bada ke nooh safeena...


rawan hai madham e mahir qalam ba-faiz e ali

ubal rahe hai mazameene gham ba-faiz e ali

hamare qalb ka dhaara ali ali bole

bada ke nooh safeena...