Kanz e Aza

Jab Tak Hai Is Jahan

A noha written by Mahir Lakhnavi. Lyrics in Roman Urdu.

jab tak hai is jahan may hussain o hassan ka naam

hai kaun jo mitaye rasool e zaman ka naam

jab tak hai is jahan may...


girta hai jab koi to wo kehta hai ya ali

sikke ki tarha chalta hai khyber shikan ka naam

jab tak hai is jahan may...


le aayi maut ghayr ke hyder ke saamne

marhab to sunke palta tha khyber shikan ka naam

jab tak hai is jahan may...


har ek ki zaban par hai zainab o hussain

kalme ke baad chalta hai bhai behan ka naam

jab tak hai is jahan may...


mauje adab se kyun na hate raah chod kar

kashti ke saat aata hai likha panjetan ka naam

jab tak hai is jahan may...


sehra mai bekafan raha zehra ka laadla

is sharm se safayd hai ab tak kafan ka naam

jab tak hai is jahan may...


mahir mai bazme panjetan e paak par nisar

maula bana hai deed ki is anjuman ka naam

jab tak hai is jahan may...