Jab Yaad Sakina ko Teri aati hai Baba
Sar zinda'n ki deewaaro'n se Takrati hai Baba
Kaano se tapakta hai Lahu Shaano pa Mere
Zalim ki aziyat Mujhe tadpati hai Baba
Jab Yaad Sakina ko Teri aati hai Baba
Marjaaungi Pyaasi na kabhi Maangungi paani
Asghar ki Mujhe Pyaas jo Yaad aati hai Baba
Jab Yaad Sakina ko Teri aati hai Baba
Jabtak Tere Seene pe na Sojaay Sakina
Zinda'n me Use neend kahan aati hai Baba
Jab Yaad Sakina ko Teri aati hai Baba
Jalte huwe khaimo'n ke nazaare hain Nazar me
Ye baat khayalo'n se kahan jaati hai Baba
Jab Yaad Sakina ko Teri aati hai Baba
Yaad aate hain jab shimre sitamgar ke mazalim
Ye Nanhi Si Dukhtar Teri Ghabrati hai Baba
Jab Yaad Sakina ko Teri aati hai Baba
Hai kaun Mere Paas Jiyu'n Kiske sahare
Tanhaayi Meri mout bani jaati hai Baba
Jab Yaad Sakina ko Teri aati hai Baba