Zindaan me karti thi fugha'n Shah ki Dukhtar Jald Aaiye Baba
Marjaaegi is qaid me ab Aapki Dukhtar Jald Aaiye Baba
Baba MeraBhai hai musibat me giraftaar, hai bekaso naachaar
Beemar pa dhaate hain bohut zulm sitamgar, Jald Aaiye Baba
Darbar me kya haal tha Main kaise Bataaau'n, kya kya Main Sunaau'n
Roodaade Safar bhi zara Sunjaiye Aakar, Jald Aaiye Baba
Aada ne Hame loot liya baad Tumhare, khaime bhi jalaay
Kaano se tapakta hai lahu chhin gaye gowhar, Jald Aaiye Baba
Baba Mujhe ab shimr ke haatho'n se bachalo, seene pa sulalo
Ab taab tamacho'n ki nahi'n dekhiye Aakar, Jald Aaiye Baba
Baba hai watan ke liye Dil Mera tadapta, Yaad aati hain Sughra
Ab soowe Madina Hame le jaaiye aakar, Jald Aaiye Baba
Rothi huwi duniya se qaza kar gayi Kamsin, kya Hashr tha Mohsin
Abid ne Kaha qabr me Hamsheer ko rakh kar, Jald Aaiye Baba