namaz e shab mein koi baap maangta hai dua
allah allah allah allah
sukoon e dil ke liye kar mujhe sakina ataa
jod kar nanhe se haathon ko sakina ne kaha
kya isi din ke liye mujhko tha maanga baba
jaane kyun jashn manate hai sata kar mujhko
apne bachon ko hasate hai rula kar mujhko
shamiyon ne mere rone ko tamasha samjha
kya isi din ke liye...
jod kar nanhe se...
baba jaan is ka sabab kya hai khuda hi jaane
fatema naam kisi ko jo bataya maine
be jhijhak us ne sakina ko tamacha maara
kya isi din ke liye...
jod kar nanhe se...
aap ne eid pe jo durr mujhe pehnaye thay
shimr ne kaano se is tarha wo gohar noche
durr nahi khoon bhi hai shimr ke haathon mein mera
kya isi din ke liye...
jod kar nanhe se...
qabr tak bhool na payegi tumhari beti
kaat kar ungli tumhari jo angothi khaynchi
pehn kar us ko hi zaalim ne tamacha maara
kya isi din ke liye...
jod kar nanhe se...
khums mein maang raha hai mera bhai chadar
shaam ke log humein maar rahe hai patthar
aurtein phenk rahi hai meri jaanib sadqa
kya isi din ke liye...
jod kar nanhe se...
aap ki laash ko jis tarha se pamaal kiya
jeete ji mera layeeno ne wohi haal kiya
baandh kar ghodon se paidal mujhe daudaya gaya
kya isi din ke liye...
jod kar nanhe se...
us ne abbas ke badle yun sakina se liye
reh gaye haathon mein zaalim ke kuch baal mere
mujhko aaya hi nahi koi chudane waala
kya isi din ke liye...
jod kar nanhe se...
sun ke mohsin ye buka karte thay sab arsh nasheen
jo sakina thi sukoon us ke muqaddar mein nahi
khoon mein doobi hai tumhari wo tahajjud ki dua
kya isi din ke liye...
jod kar nanhe se...