Kanz e Aza

Kaash Roze Ashoora

A noha for Shehzadi Sakina (s.a), written by Waiz Sultanpuri. Lyrics in Roman Urdu.

haye yateemi haye aseeri


qaid mein sakina ye keh rahi thi ro ro kar

kaash roze ashoora mai bhi mar gayi hoti


roz dam nikalta na is tarha se ghut ghut kar

kaash roze ashoora mai bhi mar gayi hoti


jo chacha mujhe meri jaan se bhi pyara tha

meri pyaas ki khaatir khoon beh gaya uska

mai nisaar ho jaati kaash apne ammu par

kaash roze ashoora...

qaid mein sakina ye...


maine apne ammu ka khoon mein tar alam dekha

naujawan bhai ka aaya saamne laasha

mujhko maut aayi na mar gaya mera asghar

kaash roze ashoora...

qaid mein sakina ye...


zulm ka woohi khanjar mujhpe chal gaya hota

kaash us ghadi mera dam nikal gaya hota

shimr jab chadha mere baba jaan ke seene par

kaash roze ashoora...

qaid mein sakina ye...


cheen li layeeno ne jis ghadi rida meri

dono haath chehre par rakh ke mai bohat roye

ye sada niklti thi mere dil se reh reh kar

kaash roze ashoora...

qaid mein sakina ye...


shimr ne tamachon se jis ghadi mujhe maara

roye nok e naiza par phoot kar mere baba

ye churi nahi chalti baba jaan ke dil par

kaash roze ashoora...

qaid mein sakina ye...


dono kaan zakhmi hai dono gaal neele hai

kya yateem bacchon par aise zulm hote hai

kaun tha taras khaata jo meri yateemi par

kaash roze ashoora...

qaid mein sakina ye...


mujhko jab kaneezi mein ek layeen ne maanga

soch kar yehi us dam mera dil bohat roya

mai ali ki poti hoon aur ye sitam mujh par

kaash roze ashoora...

qaid mein sakina ye...


karbala mein gar meri nafz tham gayi hoti

mai bhi apne baba ke paas qabr mein soti

wo wahan tadapte na aur mai qaid ke andar

kaash roze ashoora...

qaid mein sakina ye...


haal aamir o waiz kya kahe yateema ka

qaid e shaam mein jis dam ghamzada ka dam nikla

maut ki har ek hichki le rahi thi ye keh kar

kaash roze ashoora...

qaid mein sakina ye...