Kanz e Aza

Kaha Kisi ne Sakina

A noha for Shehzadi Sakina (s.a), written by Qamar Hasnain. Lyrics in Roman Urdu.

kaha kisi ne sakina se tum dua ye karo

koi bhi beti tumhari tarha yateem na ho


wo jiska dil ho dukhi raat bhar nahi sota

duayein karte huwe jab bhi koi hai rota

suna hai uski duaon mein hai asar hota

hamare ghar ho salamat ye tum dua maango

kaha kisi ne sakina se...


ye keh rahe hai ke bemaar ko dawa denge

kafan shaheedon ko behno ko hum rida denge

ye chaar saal ki bacchi ko hum dua denge

hamein bhi ek dua chahiye ye is se kaho

kaha kisi ne sakina se...


kaha kisi ne ke baba safar pe nikle hai

kaha ye maane ke is se duayein lete hai

hamare bibi bahot chote chote bacche hai

sakina sochne lagti hai laashe asghar ko

kaha kisi ne sakina se...


ye nanhi bacchi ki haalat pe koi kehta hai

najaf mein iska koi rishtedaar rehta hai

chini hai baaliyan kaano se khoon behta hai

larazte haath hai ye dekh kar tamachon ko

kaha kisi ne sakina se...


kaha kisi ne jo ye bibiyan hai bechadar

ye fakhre maryam o saara hai aale paighambar

ye tauq mein jo baradar hai abide muztar

imam e waqt hai ye de dua kaho in se

kaha kisi ne sakina se...


ye fatema ke hai ghar ki azeem hai rutbe

dua kare kaho mushkil kusha ki poti se

bahot khareeb hai bacchi ye arshe khaliq ke

dua ye maang le phaila ke nanhe haathon ko

kaha kisi ne sakina se...


nahi hai aab ye kurte ko dho nahi sakti

ye rona chaahti hai aur ro nahi sakti

ye qaid khane mein ek pal bhi so nahi sakti

nahi hai baap ka seena bhi iske sone ko

kaha kisi ne sakina se...


dua to kar di sakina ne haath phaila kar

laraz raha hai qamar arshe khaaliqe akbar

phuphi ne thaama sakina ko phat gaya tha jigar

hussain ki tarha kitni kareem hai dekho

kaha kisi ne sakina se...


kaha sakina ne ahle aza salamat ho

sabhi ke noore nazar mahleqa salamat ho

bhatije bhaanje sab ke chacha salamat ho

duayein deti hoo har waqt apne shiyon ko

kisi ki beti bhi meri tarha yateem na ho


sakina bibi tumhare ghulam haazir hai

bujhe jo pyaas to ashkon ke jaam haazir hai