mere maula aane waale hai
agar hussain ke maqsad se hai wafadari
to phir imam ki nusrat hai ye azadari
imame asr ko ghar may agar bulana hai
bas itna karna hai farshe aza bichana hai
ghar ghar me bicha do farshe aza
maula ko dena hai pursa
ke bas maula aane waale hai
haa mere maula aane waale hai
sadiyan guzri hai phir bhi safar
wo karbobala ka jaari hai
ye rasme azadari hai kya
ye nusrat ki tayyari hai
nasir honge sab ahle aza
mere maula aane...
jaari hai azadari sheh ki
bachhe hai lahoo may aaj bhi tar
ay maaon shaheedon ki maaon
qurban kiye hai tum ne pisar
maula khud denge iska sila
mere maula aane...
zehra ka pisar ab aayega
azaad karayega kaaba
aayega waaris e karbobala
badla wo lega baqayye ka
hoga tameer har ek rauza
mere maula aane...
ay maaon behno sharm o haya
aur izzat ka bhi dhyan rahe
zehra ki mehnat ka ho khayal
aur zainab ka bhi maan rahe
rakhna hai tumhe qayam parda
mere maula aane...
zehra ke pisar ke khaatir ab
ghar kaise sajaya hai tum ne
maahol ho maula ke qaabil
khud unko bulaya hai tumne
dar khol ke baitho taqwe ka
mere maula aane...
qasim ke tukdon ka badla
har shaam ke pathar ka badla
zehra ki musibat ka badla
zainab ki chadar ka badla
jaoge kahan tum ahle jafa
mere maula aane...
bin haath gire jab ghode se
kaisi ye musibat thi haye
ghazi ki ek hi khwahish hai
maula ki ziyarat ho jaaye
ay maut de mohlat mujhko zara
mere maula aane...
maula sab se pehle lenge
mohsin ki shahadat ka badla
bacchi ke tamachon ka badla
sajjad ki zehmat ka badla
ya saarallah ka hai naara
mere maula aane...
ay shadman aur qamar ab hum
dushman ke muqabil datt jaye
tukde ho laakh dhamakon se
kat'te hai haath to kat jaaye
thaame rahe parcham maula ka
ghar ghar may bichado frashe aza
maula ko dena hai pursa
mere maula aane...